Sunday, March 1, 2009

CHAND SAWAL

Chand sawal ....
kya aap hain taiyarrrr?
kya lagta hai aapko,
kyun aaye hain es duniya me,
jahan har koi hai simta bas apni hi muniyaaa me..?
Aankhon me sikan,
hoton me phir bhi naman..
har chahre par ek bhao hai,
phir kyun har dil me ek Ghaaoo hai.?
Rat ki tanhai ,suraj ki angraiii
kisi ke liye lata kuch khash hai...!
phir kyun sagar me bhi
Gahri pyas hai..?
kya lagta hai aapko,
kyun mera mann
Udas hai?
Tanha hai dil,
tanhai ka mujhe bhi ehsaash hai..!
phir kyun apne aap pe,
mujh ko NAAZ hai
?
kya lagta hai aapko
kya es me bhi koi raaz hai ?
ye jo chand sawal mere lub pe aaj hai
kya inse milta kisi ka andaazz
haiii....???????
kya lagta hai aapko .....
jaroor likhyein...
Aksar aisa hota ,
log milte hain bichar te hain,
phool khilte hain nikhar te hain ,
jane se unke ,
dukh hota hai
dard nahi,
magar unme
jab koi apna banta hai ,
rista dil se jurta hai ,
dosti hadd choo jati hai
sathi apna lagta hai ,
TAB AKSAR AISA LAGTA HAI...
Tut kar sapna rota hai,
dard hota hai. wahi lagta hai
jaise ,khusiyon ka koi sansar nahi
rang sare khoo jate hain ,
mano basant me bahar nahi.
bayann kar ke us halat ko
aaj bhi ye mann saham gaya,
sayad kal aane ki sochkar yee
dhadkan bhi thahar gaya.
jivan me pehli bar
umeed tune jagaya kaisa
ek anokha sa bharam failaya kaisa...?
lag raha hai mujhko ab ye...
teri koi majburi hogi !
sayad thori si to tu bhi tarpi hogi
tarpi hogiii.....
aksar aisa hota hai
aksar aisa hota hai......!